Tuesday, May 4, 2021

Saans ki keemat


Kabhi socha tha ki saans

Lene ki bhi keemat hogi


Kabhi socha tha ki saans

Ki bhi beyimani hogi


Kabhi socha tha ki saans

Atki hogi ki kab saans aegi


Yeh din dekhlo yeh din bhi jeelo

Aane vala wqt kuch toh acha laega


Isi umeed mein iss wqt insaan jee rha h

Dar dar k roti ke liye saans le rha h


Kitne dher hogye kitne barbaad hogye

Lekin iss saans ki ldai mein kyi kinare 

Paar bhi hogye


Koi toh sanjeevani laado ab insaan

Taaki tum bhi saans ki jadibuti dhund pao


Bs iss saans ki ldai mein  mere dost

Sbko yaad rkhna , pta nhi kal kya hoga

Yeh bhi tum yaad rkhna


Aaega acha samay jald bs insaan ho

Insaaniyat ko yaad rakhna...




No comments:

Post a Comment