Saturday, July 16, 2011

Do Labz

kehne ko toh do lbz the

bs na jaane kyun bol na skaa

pyaar bhi kiya,bs ikrar kar na skaa

tujhse hai chahat.bs yeh keh na skaa

manzil bhi chuni,par na jaane chal na skaa

kaunsi raah chalun ,yeh keh na skaa

khwaab bhi the,par unhe bun na skaa

dhoop thi aage,chaaya mei chal na skaa

ek dil tha mera,ek dil tha tera

fr na jaane kyun yeh rishta bn na skaa

kyun na keh skaa tujhse yeh baat

soch kar mein roh na skaa

pyaar bhi kiya ,bs ikrar kr na skaa

kehne ko toh bs do labz the

na jaane kyun bs yeh bol na skaa..............Abhishek Sharma



Thursday, July 7, 2011

Mein

Torunga vohberiyan peyrun ki

jaunga un raahun pe ,jhaan marzi meri

chunuga voh raaste , jhaan mushkilein ho

dar lgta hai chalne mei , jhaan raaste asaan ho

bunuga khwaab vahi jo bs mere haun, bs mere haun

kaash , kaash ke aane waala pal fursat se bitega

yaah fir manzil leke aayegi do raahein

kaun hun mein kaun hun mei , yeh duniya puche

bs kya in mazil ko pane ke safar mei kho gya hun mein ,

bs ab toh kho gya hun mein

chunuga voh raaste .jhaan mushkilein ho

dar lgta hai chalne mei , jhaan raaste asaan ho