Thursday, December 22, 2011

Aisi yeh meri ajeeb Raahein

Kyun hai yeh Raahein alag
Raahein jinpe mein hun chlaa
kaunsi manzil le jaaegi yeh raahein
yeh naa mein jaanun naa tum

Sehma kyun hai yeh mann
Ruki kyun hai yeh Dhadkan
Kyun hai yeh safar mushkil
Safar jiski manzil ka ptaa
Na jaane fir bhi mein kyun chlaa..

Kabhi socha tha chunuga voh raah
Jo kraaye gi mujhe iss jhaan se paar
par pathrun se darta hun,na jaane
na jaane kyun,inpe chalne  se
katraata hun.......

Har raah jo mujhe mili
bs do raahein ban gyi
kya galat, kay sahi
kise chunein.kise chorein
Bs yahi hai zindagi ki dastaan...

Kya Voh Raahein milengi
Jo manzil tak le jaaengi
yaah fir do raah hi apnaengi

Kyun hai yeh raahein alag
raahein jinpe mein chlaa................Abhishek Angrish Sharma.


Saturday, December 17, 2011

Intezaar


Aaja tu dil ko intezaar hai
aaj bhi bs tera hi ghumaan hai
sapnu mein bhi bs tu hai mere
kabhi ajao haqiqat mein ..


yeh bs dil ki tamanna hai
ho jaaega mera yeh safar pura..

zindagi se aur kuch na maangun mein
bs tere aane ki aas hai
krde bs ab tu puri voh
kahin reh na jayun adhura mein..
thami hai har dhadkan har saasein
aake tu inko raftaar dey.....

aaj bhi tu hi hai bs tuhi
har raah ,har manzil mein tu
har jagah yeh nazrein dhundhein tujhe...

krdena ek ehsaan mujhpe
mere jaane se pehle....
bs ajaana ek baar..

Aaj bhi bs tera intezaar hai
Dil milne ko bhi toh bekrar hai........

............................................Abhishek Angrish Sharma.





















Tuesday, December 13, 2011

Intehaan (life struggle)

Mein toh tha ek udta panchi
Tumne meri ek naa suni...

Tumhari rahun pe chalta rha
mann ko mein sehlata rha..

kyun aise kyun ....................
meri raahein kaati....

raahein kaati meri manzil chhuti..
fir bhi mein inpe. chlta rha..

aisa kyaa gunaah tha mera.
bas ek intehaan hi hara tha...

khoya voh jo mera tha..
fir bhi yh duniya najaane
mujhe kose...........

aisa kya gunaah tha mera
bas ek intehaan hi haara tha

Jhaan mein tha ek udta panchi
tumne kbhi uski ek naa suni
raahein kaati uski manzil chhuti.............
















Do Lafz

Tose Naina lagey the,tose naina....
Kehne ko labz do baaki the
Hum bhi jo tere aadi the

Dil mein basi ek tu hi haseen
Tere liye meri saansein thami
khwaab bune jinme tu thi basi
raahein chuni jinki manzil tuhi...


ahhh aah aahaa  aahhhh aahhh.
.................................................


Tum bhi the ,or hum bhi the...
najaane kyun keh naa paye the..

chahat  meri adhuri rhi...
pyaar mera tune na jaanaa...

khwahishein thi ab yeh meri
 voh bhi tune aise thukraayi....
dhadkanein yeh mil naa paayi...

 
dhoop thi aage na jaane chaaya
mein chal naa paayaa
kehne ko labz the do baaki
najaane kyun keh naa paaya..
hoo..hoo.hoo.
Tose naina laagey the...
ahha aahaaha ahh....












 

Monday, October 3, 2011

Mera nazariya..

In nam aankhun se kya dekhta hun mein
saara jhaan saara smaah dekhta hun mein
insaan ki zarurtaun ko badhte dekhta hun mein
dilon ko pal mein jurte or bicharte dekhta hun mein
bs badalta huya jhaan dekhta hun mein
pyaar ko pyaar nahin bs ek samjhota huya dekhta hun mein
paharun par charkar ,nadi ke kinare dubte suraj ko dekhta hun mein
perun kr bikharte patte or jadun ko ubarte dekhta hun mein
aasman se tez baarish ke beech gurraati huyi bijliyun ko dekhta hun mein
samundar ki thithurti huyi lehraun ko dekhta hun mein
barf ko maum ki tarh pighlte dekhta hun mein
dil ki dharkan or samay ki sui ko chalte huye dkhta hun mein
kabhi kabhi toh khud ko hi badalte dekhta hun mein
saara jhaan saara smaah dekhta hun mein
In nam aakhun se kya dekhta hun mein

Saturday, July 16, 2011

Do Labz

kehne ko toh do lbz the

bs na jaane kyun bol na skaa

pyaar bhi kiya,bs ikrar kar na skaa

tujhse hai chahat.bs yeh keh na skaa

manzil bhi chuni,par na jaane chal na skaa

kaunsi raah chalun ,yeh keh na skaa

khwaab bhi the,par unhe bun na skaa

dhoop thi aage,chaaya mei chal na skaa

ek dil tha mera,ek dil tha tera

fr na jaane kyun yeh rishta bn na skaa

kyun na keh skaa tujhse yeh baat

soch kar mein roh na skaa

pyaar bhi kiya ,bs ikrar kr na skaa

kehne ko toh bs do labz the

na jaane kyun bs yeh bol na skaa..............Abhishek Sharma



Thursday, July 7, 2011

Mein

Torunga vohberiyan peyrun ki

jaunga un raahun pe ,jhaan marzi meri

chunuga voh raaste , jhaan mushkilein ho

dar lgta hai chalne mei , jhaan raaste asaan ho

bunuga khwaab vahi jo bs mere haun, bs mere haun

kaash , kaash ke aane waala pal fursat se bitega

yaah fir manzil leke aayegi do raahein

kaun hun mein kaun hun mei , yeh duniya puche

bs kya in mazil ko pane ke safar mei kho gya hun mein ,

bs ab toh kho gya hun mein

chunuga voh raaste .jhaan mushkilein ho

dar lgta hai chalne mei , jhaan raaste asaan ho